ilahi rahm kar mujh par mere sine mein phir se dard uthta hai sulagta hai alaw ki tarah meri palkon se kuchh ummiden aansu ban ke yun jhadti hain jaise sukhe patte shakh se jhadte hain patjhad mein mere ehsas aur jazbaat bachchon ki tarah rote bilakte hain mere tute hue sapne nigahon mein yun chubhte hain ke jaise kanch chubhta hai mere arman meri aahon ki surat le ke is dil se nikalte hain meri kuchh khwahishen ab bhi machalti hain tadapti hai mere dil mein ke jaise machhliyan pani se bahar aa gai hon tanaffus ka amal lagta hai yun jaise ke meri ruh par kode koi barsa raha hai badan yun sard hai jaise lahu nabzon mein meri jam gaya hai meri bechainiyon ka aisa aalam hai ke bas tauba ilahi rahm bhi kar ab ilahi rahm bhi kar mujhe bhula hua ek shakhs phir yaad aa raha hai mujhe bhula hua ek shakhs phir yaad aa raha hai