khudawanda tujhe malum hai main ne ye apni umr kis be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai khudawanda tujhe malum hai mere har ek jaanib teri sau neamaten bikhri hui thin hazaron raste the manzilen thin raushni thi rang the khushbu thi phulon se ladi shakhen thin khwahish ki tamannaen labon par muskurahat ke kai naghme sajae raqs karti thin kai jugnu meri shamon ke aangan se guzarte the meri har aarzu ki apni peshani thi aur un se kai suraj ubharte the kai mahtab chehre jhil si aankhen liye mere taaqub mein nikalte the mujhe aawaz de kar rokne ki koshishen karte na thakte the kai dildar mausam the ki jin mein titliyan barish ke rangon mein nahati hath phailati mare qurb-o-jawar dida-o-dil se guzarti thin magar main ne khudawanda tujhe malum hai main ne teri sari inayat ko teri un neamaton ko aankh bhar kar bhi nahin dekha khudawanda tujhe malum hai tu jaanta hai ki mere dil aur meri aankhon mein bas wo mausam-e-dil-dar basta tha isi mausam ki chahat aur mohabbat ka kahin iqrar basta tha isi mausam ko dil ne apni subh-sham jaana tha agarche rah mein aaya hua sara zamana tha khudawanda tujhe malum hai tu jaanta hai dilon ke zakhm aur aankhon ki sari kaifiyat pahchanta hai magar main ne use jaanana pahchana mujhe jo bhi kaha us ne usi ko zindagi jaana usi ko raushni jaana khudawanda tujhe malum hai us ne basar ki zindagi meri chura li raushni meri tujhe malum hai sab kuchh khudawanda tujhe malum hai sab kuchh meri umr-e-guzishta ka meri umr-e-rawan ka ek ek lamha usi be-faiz mausam ki rifaqat ke hi kaam aaya magar ab main khudawanda magar ab main mohabbat ke usi be-faiz mausam ki rifaqat ke azabon aur khwabon se thaka-haara hua insan rihai chahta hun teri sau neamaten hain un se tanhai ki neamat chahta hun khudawanda tujhe malum hai main ne ye apni umr kas be-faiz mausam ki rifaqat mein guzari hai yaqin-o-be-yaqini ki aziyyat mein guzari hai khudawanda mujhe tanhai ki neamat ata kar de