ilm

hai zaban par sab ki midhat ilm ki
kyon na ho dil mein mohabbat ilm ki

kyon na ho har ek ko chahat ilm ki
har kisi ko hai zarurat ilm ki

ilm ke rutbe se waqif hai jahan
goshe goshe mein hai shohrat ilm ki

jis ko chaska lag gaya hai ilm ka
puchhiye us se haqiqat ilm ki

bas usi ne pai izzat mulk mein
dil se ki hai jis ne khidmat ilm ki

sare duniya ka chahita hai ye ilm
rahti hai har dil mein ulfat ilm ki

wo zalil-o-khwar duniya mein hua
jis kisi ne ki na izzat ilm ki

do jahan ki us ko neamat mil gai
ho gai jis par inayat ilm ki

surkh-ru hota hai wo ek din zarur
rahti hai jis dil ko chahat ilm ki

takht-e-shahi kya hai milta hai khuda
is se badh kar kya ho barakat ilm ki

kyon kisi ke aage wo phailae hath
hath aai jis ke daulat ilm ki

hai ye kunji aish aur aaram ki
kya bataun qadr-o-qimat ilm ki

sari duniya pa rahi hai jis se faiz
hai haqiqat mein wo daulat ilm ki

jaan se is ko samajhte hain aziz
jin pe raushan hai haqiqat ilm ki

ho wo bachcha ya ho budha ya jawan
har kisi ko hai zarurat ilm ki

jao 'jauhar' har kahin be-khauf tum
koi lutega na daulat ilm ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close