chand jab id ka nazar aaya haal kya puchhte ho khushiyon ka aasman par hawaiyan chhutin naubaten masjidon mein bajne lagin shukr sab khas-o-am karne lage aur baham salam karne lage nanhe bachche hain khas kar masrur kahte hain id ab hai kitni dur maen kahti hain kuchh nahin ab dur subh aa jaegi yahan pe zarur aao kha pi ke so raho chup chap aaegi id subh aapi-ap bachchon ki aankh mein hai nind kahan hain unhen to chadhi hui khushiyan ho gai raat katni mushkil kal ke din par laga hua hai dil bachchiyon ne lagai hai mehndi rangyali mangai hai mehndi achchhe achchhe banae hain kapde sab nae sil ke aae hain kapde bachche be-e'tibar aise hain un ko rakh kar sirhane soe hain aa gai nind so gae bachche bare khamosh ho gae bachche khwab bhi id hi ke aate hain sote se uth ke baith jate hain subh-e-sadiq ka ho gaya hai zuhur sari duniya pe chha gaya ek nur chidiyan pedon pe chahchahane lagin id ke git mil ke gane lagin sharq par jalwa-gar hua suraj aaj hai kuchh naya naya suraj taj khub us ne aaj pahna hai surkh kirnon ka taj pahna hai har musalman bagh-bagh hai aaj aasman par har ek dimagh hai aaj subh uthte hi sab ne ghusl kiya pahna ujla libas itr mala maen nahla rahi hain bachchon ko khub bahla rahi hain bachchon ko bachche khush hon yahi hai sari id un ke bachchon ki id un ki id bachchiyon ne bhi sar gundhaya hai maon ne khub unhen sajaya hai jode rangin sab ne pahne hain chandi sone ke sare gahne hain odhni par tika hua gota dekhna hai damak raha kaisa bhaiyon ko bulati phirti hain apne kapde dikhati phirti hain hath mehndi range dikhati hain khush hain hansti hain khilkhilati hain aur ladke bhi ho gae tayyar sar pe bandhi hai lat-pati dastar khushnuma sab ne suit pahne hain aur pairon mein boot pahne hain kiya jhuk kar salam maon ko bap dadon ko aur chachaon ko sab se paise jhagad jhagad ke liye ruth kar zid se aur ad ke liye hath mein lakdi jeb mein rumal chalte phirte hain kya thumakti chaal ho chuki ab to khub tayyari aur sewaiyon ki aa gai bari farsh par bichh gaya hai dastarkhwan mil ke baithe hain bachche budhe jawan samne hai bhari hui thaali hain siwayyan bhi khub rumali khub khate hain aur khilate hain yun khushi id ki manate hain log sab id padh ke nikle hain goya parwan chadh ke nikle hain khush hain sab aur karte hain khairaat lutte hain sawab hathon hat jaan pahchan milte hain aksar id milte hain sab gale mil kar bachche-baale bhi sath hain sare jo ki hain id dekhne aae un ko mela dikhate phirte hain chizyan bhi khilate phirte hain bachche lattu hue khilaunon par wo bhi jholi mein rakh liye le kar kyon na ho khel ka yahi sin hai aur phir aaj id ka din hai