sona chandi aur na gauhar sab se behtar ilm ka zewar ilm ki daulat hai wo daulat jitni banto utni barakat is ko koi chor na pae kaise koi is ko churae ilm hamein jina sikhlae bhale bure ka farq batae pas nahin jo ilm ka jauhar gauhar patthar sab hain barabar ilm se ho zehnon mein ujala andhiyaron ka munh ho kala ilm hai ruh aur jism hai insan ruh nahin to jism hai be-jaan ilm se raushan dil hota hai ilm khud ek manzil hota hai bachcho ilm se munh mat modo is daulat ko kabhi na chhodo apna to 'jauhar' ye yaqin hai ilm nahin to kuchh bhi nahin hai