jaane kitne sapne dekhe jiwan ke is rup nagar mein warsha rut mein jaise musafir prit-dagar par prem-safar mein sapne jin mein komal pariyan par phailae dol rahi hain aashaon ke git ki lai par amrit-ras ko ghol rahi hain main ne socha mit sabhi hain ye sara sansar hai apna sare jag ki rit yahi hai kadwi ninden mitha sapna dharti ki is phulwari mein chand sitaron ke darpan mein main ne dekhi apni chhaya jag mein sab apne hain to phir koi kisi ka bairi kyon ho honton par muskan to bikhre man mein uljhan theri kyon ho