ilm se apni shan hai yaro ilm se apni aan hai yaro ilm se izzat-e-watan bhi hai ilm se hurmat-e-chaman bhi hai ilm hasil hai zindagani ka ilm hasil hai kaamrani ka ilm ek shahr hai mohabbat ka ilm ek desh hai sadaqat ka ilm ek parcham-e-wafa bhi hai ilm aaina-e-haya bhi hai ilm se raushni mili hum ko ilm se zindagi mili hum ko ilm se tirgi ko dur karo kaam achchha hai tum zarur karo ilm se apna bol-baala hai sari duniya mein jo ujala hai ilm ki raushni dikhao unhen ilm kya chiz hai dikhao unhen aao mil-jul ke hum padhen yaro sidhe raste pe hum chalen yaro