aziyyat aur is sukun donon ko hi dil khol ke main ne lutaya hai hazaron bar aisa bhi hua hai doston ki rahnumai mein phira hun mara mara shahr ki aabaad sadkon par kabhi viran galiyon mein kabhi sahraon ki bhi khak chhani hai magar is bar jaane kya hua mujh ko numaish ki dukanon mein saja kar khud ko ghar wapas chala aaya abhi darwaza main ne khatkhataya tha ki ghar walon ne kina-tuz nazron se mujhe dekha jab un ki aankhon mein, koi ramaq pahchan ki main ne nahin pai to ulte pairon wapas laut aaya hun aur ab ye sochta hun doston ki rahnumai mein unhin galiyon mein sahraon mein ja kar apne qadmon ke nishan dhundun