iltija

darakht ko jaise do lakadhaare ek aare se katte hain
darakht chahe ghana ho jitna bada ho jitna

magar ye donon bade hi aaram se use katte hain socho
agar ye do ki bajae bas ek ho to kya ho

ki ek ke bas ki baat hogi darakht ko kat kar girana
nahin ye mumkin nahin hai hargiz

bahut si dushwariyon se us ko guzarna hoga
agar wo koshish kare bhi to uljhanen to hongi

bahut se aise bhi masale honge jin ki khatir
udasiyon se nirash ho kar

wo thak ke baithe
meri bhi uljhan kuchh aisi hi hai

ki hijr ye bhi darakht jaisa ghana hai jaanan bada hai jaanan
akele main is ko kat sakta hun tum hi socho

bahut si dushwariyon se main bhi guzar raha hun
agar main koshish karun bhi to uljhanen bahut hain

bahut se aise bhi masale hain ki jin ki khatir
udasiyon se nirash ho kar

main thak ke baitha hun
suno meri ek iltija hai

ki hath mera batane tum aao thoda jaanan
bahut hai mumkin

ki donon mil kar ye hijr katen
to ye ghana ped kat girega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close