sukun ki chhanw ke muntazir kab se khade ghamon ki dhup mein tap rahe hain dur tak kahin bhi koi chahat ka saya nazar aata nahin mere malik tu agar chahe zarre ko suraj aur qatre ko samundar bhi bana de dukhon ke hum bahut mare hue hain ab aur imtihan na le barsa de hum pe rahm ki barish khudaya