apne aanchal pe sitaron se mera nam na likh main tera khwab hun palkon mein saja le mujh ko meri fitrat hai mohabbat ki machalti hui lahar apne sine ke samundar mein chhupa le mujh ko zindagi chandni raaton ka hasin rup liye sang-e-marmar ke jaziron mein utar aai hai ek tere dast-e-hinai ko chhua hai jab bhi sat rangon ki faza zehn mein lahrai hai tere hanste hue honton ka pighalta hua lams gungunata hai meri ruh ki tanhai mein kisi shishe kisi saghar kisi sahba mein kahan wo jo masti hai tere jism ki angdai mein apni abreshmin zulfon ke ghanere sae meri nindon ke shabistanon mein lahrane de mujh ko hanste hue khwabon ka muqaddar ban kar apne hathon ki lakiron mein sama jaane de