khatme se pahle agar khatm hona hai to samajh lo ki khatma ho chuka hai silai machine par meri aurat ki nind mein soi girna mere maqsum ka virana hai hawas bahut hai qisson par bhaari hain hawas jaante hain kaha nahin jaante hue bhi sabhi jaante hain ki duniya paida hi nahin hui jis mein bhediye na hon sirf khargosh rah rahe hon wo dekho wo koi safed khargosh hi to hai jo abhi abhi is jhadi se uchhal ke is jhadi tak gaya hai magar us ki safedi mein thik us ki gardan ki jagah bhediye ke dant lagne se gahre khun ka muqaddar laga hai is tarah muqaddar ko khun ke dhabbe mein dekhna kahan ki duniya hai kya kabhi aisa hua ki maut ne apni ghiza mein khud ko khaya us chitrkar ko bula sako to bulao zara jald bulao ki wo kahin aur nahin hoga chemistry ke shoabe mein hoga ki jahan rakhe hue har rang mein us ke apne kimiyai aaseb ka basera hai hum kisi na kisi rang ko khud tari hone ki dawat dete hain aur is ke aaseb se apni jild nuchwate hain shiryanon ko udhadwate hain har rang mein basera karne wale aaseb ne hamari mohabbat hi to khaya is liye to main sote apne bete ko nahin jagata ki wo har roz motor-cycle mein petrol ki jagah apne hisse ki bedari aur nind donon ko ek sath dal deta hai is liye mein der tak soti apni beti ko nahin jagata ki wo kitchen mein chae banane ki abdiyat ko bhi chae ki pyali mein undel deti hai