khizan mein ab phul aane wale hain tum magar sath sath rahna ki hum sawab-o-khata ke qisson ka zikr karke faza ko pahle hi itna bojhal bana chuke hain ki khushk patta bhi girne lag jae to hawa siskiyan si leti hai chikhti hai udas lamhon mein raushni apne sath rakhna tum apne hathon ki ot karke charagh lao to yaad rakhna ki raushni se diyon ko bharna karam nahin hai kisi pe ehsan to nahin hai ki hum ne kirnen bikher di hain ki raushni sab ki zindagi hai gulon ki paspaiyon ki rahon ko rokna ho to nur banto ki raushni naqd-e-zindagi hai khizan ke phulon se tum na kahna gai ruton ki halawaten kya thin rang kya tha ruton ke zinda siyaq murda sabaq se apna rabt kya tha hamein ruton ke mite nishanon se dhundhna hain wo nam jo yaad rah gae hain nishan be-nam suraton ke jo kal ugengi charagh phulon ke in hawaon mein jalna mushkil hain jal gae to ujala jitna bhi ho bahut hai