chalo ki pahle nafraton ki aan-ban tod den ye waqt ki pukar hai alag alag ye raston pe rengte se qafile qadam qadam musafiron ke tutte se hausle ye rengte se qafilon ko tutte se hauslon ko ek dagar se jod den ye waqt ki pukar hai ye shahr shahr khun ke bahaw mein basa hua ye ganw ganw aapsi tanaw mein kasa hua ye khun ke bahao ki ye aapsi tanaw ki kalaiyan marod den ye waqt ki pukar hai gali gali tatolti ghataen lut mar ki nagar nagar mein dolti hawaen intishaar ki ye lut-mar ki ghata ye intishaar ki hawa samundaron mein chhod den ye waqt ki pukar hai ye aadmi se aadmi ki duriyan ye khaiyan ye apne hath se tabah ho ke phir duhaiyan ye duriyan ye khaiyan ye chikh ye duhaiyan har ek qadam jhinjhod den ye waqt ki pukar hai ye sukhe sukhe phul par bahaar ki jawaniyan ye jhulse jhulse rang rup bagh ki nishaniyan jawaniyon ke jam mein nishaniyon ki sham mein ruton ka khun nichod den ye waqt ki pukar hai