is mahine mein ghaarat-gari mana thi, ped katte na the tir bikte na the be-khatar thi zamin mustaqar ke liye is mahine mein ghaarat-gari mana thi, ye purane sahifon mein mazkur hai qatilon, rahzanon mein ye dastur tha, is mahinon ki hurmat ke eazaz mein dosh par gardan-e-kham salamat rahe karbalaon mein utre hue karwanon ki mashkon ka pani amanat rahe meri taqwim mein bhi mahina hai ye is mahine kai tishna-lab saaten, be-gunahi ke katbe uthae hue roz o shab bain karti hain dahliz par aur zanjir-e-dar mujh se khulti nahin farsh-e-hamwar par panw chalta nahin dil dhadakta nahin is mahine main ghar se nikalta nahin