1 sarishk-e-khun rukh-e-mazmun pe chalta hai to ek rasta nikalta hai nadi dariya pe tham jae lahu nuqte pe jam jae to unwan-e-safar thahre usi raste pe sarkash raushni taron mein dhalti hai usi nuqte ki suli par payambar baat karte hain mujhe chalna nahin aata shab-e-sakin ki khana-zad taswiro gawahi do fasil-e-subh-e-mumkin par mujhe chalna nahin aata mere chashmon mein shor-e-ab yakja bar-shakali hai nadi maqruz baadal ki mera dariya sawali hai rag-e-harf-e-zubun mein jo charagh-e-khun safar mein hai abhi us nuqta-e-akhir ke zine tak nahin aata jahan jallad ka ghar hai jahan diwar-e-subh-e-zat ke rakhne se nigah-e-khashmagin barud ki chashmak daraati hai jahan suli ke mimbar par payambar baat karte hain 2 ab in baaton ke sikke jeb ke andar khanakte hain ki jin par qasr-e-shahi ke manazir aslaha-khanon se jari hukm kunda hain bhare bazar mein tifl-e-tahi-kisa pareshan hai ki us ke panw taksalon ke raste se abhi na-ashna hain aur us ka bap gunga hai nadi ruk ruk ke chalti hai takallum rehn rakhne se safar aasan nahin hota hua paspa jahan pani jahan maujon ne zanjir-e-wafa pahni sipar girdab ki rakh di alam rakhe qalam rakhe khafa baadal ne jin payab dariyaon se munh moda jahan taraj hai kheti jahan qarya ujadta hai tanab-e-rah katti hai kahin khema ukhadta hai wahan se dur hai nadi wahan se dur hai bachcha ki us ke panw dariyaon ke raste se abhi na-ashna hain aur us ka bap gunga hai use chalna nahin aata fasil-e-subh-e-mumkin par use chalna nahin aata 3 sahar ke pas hain mansukh sharten sulh-name ki saba dars-e-ziyan-amoz ki tafsil rakhti hai kisi tamsil mein tum ho kisi ijmal mein main hun kahin qirtas khali ka wo be-unwan sahil hai jahan aashuftagan-e-adl ne hathiyar dale hain bahut zaten hain sadmon ki kai hisse hain sine mein nafas gum-karda lamhe ke kai tabqat hain din ke kahin subh-e-mukafat-e-sukhan ke mantaqe mein tum muqayyad ho kisi pichhle pahar ke sulh-name ki adalat mein kadi sharton par apne dastakhat ke ru-ba-ru main hun suno qirtas-e-khali ke sipar-andaz sahil se hawa kya baat kahti hai idhar us dusre sahil se jo mallah aaya hai zaminen bechti basti se kya paigham laya hai koi tazir ki dhamki koi wada rihai ka koi aansu koi chhutti