tum ne mujh se koi iqrar-e-rifaqat na kiya ye na kaha tum se bichhad jaun to zinda na rahun main ne tumhein zist ka sarmaya mera hasil-e-yak-umr-e-tamanna na kaha is qadar jhut se dahshat-zada the hum ki koi sach na kaha main ne bas itna kaha dekho hum aur tum is aag ka hissa hain jo khashak ki manind jalati hai hamein tum ne bas itna kaha dekho is aag mein hum donon akele bhi hain sathi bhi hain aur hum karte rahe umr-e-mah-o-sal ke zakhmon ka shumar kahkashan phiki hai kuchh der ka mehman hai chand dubti raat mein dhalte hue sae chup hain meri shiryanon mein yakh-basta lahu hairan hai awwalin qurb ki ye aanch kahan se aai ajnabi kaise kahun tum to mere dil ke nihan-khane mein soe hue har khwab ka chehra nikle