koi bhuli hui surat koi bisra hua khwab shab ke sannate mein khulne lage ehsas ke bab koi naghma meri khamosh mohabbat ke rabab ye umidon ki kashakash ye tamannaon ke jal jaane kis rah se guzregi umidon ki baraat fasle badhte gae shauq-e-subuk-gam ke sath tu hi bol ai meri mahrumi ki badhti hui raat kitni dur aur hai wo shahr-e-tarab khuld-e-visal kahan dhundun tujhe ai surat-e-zeba-e-khayal shab ki aaghosh mein khwabida hain be-nur anjum shauq ke hath mein tute hue paimana-o-khum aarzu waqt ke phaile hue sahraon mein gum kin hijabaat mein ru-posh hai ai subh-e-jamal ek chot ek khalish zauq-e-tajassus ka maal