waqt ki peshani par inhiraf likh do waqt kuchh bhi nahin ek fareb hai jis ke hum tum tabe nahin phir bhi tabe hain chalo aaj se ye waqt hamara bhi nahin tumhaara bhi nahin waqt ki peshani par inhiraf likh do lekin wo zanjir kya karen jis se waqt ka ek ek lamha tauq bana chalo isi tauq se zanjir bajate hain ki koi sun le apni sada main ne padhi nahin wo hikayat jis ka ek bab tum ne padha shayad main nahin chahta ki wo dar band ho jae jis se sattar dar khulte hain waqt ki peshani par inhiraf likh do