main aur meri hayat yun to donon sath sath chalte hain phir bhi ham-kalam nahin hote jaise ek dusre se na-ashna ya phir donon ki zabanen juda juda haalat ki kashti mein dolte jate hain anjam se be-khabar khatraat se be-khatar aabla jis ke phutne ka intizar ek khar ek kali ka muhtaj sal ke barah mahine hafte ke sat din subh sham un mein phansa hua main yahi ibtida yahi intiha bas sans ka bhatta chalta hai din lohe ki manind pighalta hai aur main bhi lawa ban kar ek din in sal ke barah mahinon hafte ke sath dinon mein kabhi bah jaunga