mere bachche ne jab mujh se kaha mamma zara jugnu mujhe la do mujhe titli ke rangon ko bhi chhuna hai sitare aasman par hi uge hain kyun zamin par kyun nahin aate mujhe bas chand la do us se khelunga main chaunk utthi yahi kuchh main ne apni man se puchha tha mera masum sa bachpan jo mutthi se phisal kar kho gaya shayad mera bachcha jo mera aaj hai aur aane wala ek hasin kal hai lahu mein us ki baaton se hi halchal hai ye mera qimti pal hai mera bachcha hasin tabir ban kar samne hai aur mazi khwab lagta hai to kya main khwab se aage nikal aai