ek chobin ghoda ek ghaeb sawar aur ek simta hua maidan ye hain markazi kirdar ek be-musannif tamsil ke jo bahar-surat khatm hoti hai ek muhmal na-aghazi par kisi pechida dhabbe ki tarah jo sabt hai ek na-amada na-gustarda chadar par chobin ghoda apna kirdar umdagi se ada karta hai agar ghaeb sawar apne hisse ka kaam nahin bhulta simta hua maidan nahin faraham kar sakta wo fasla jo mashshaqi se tai kiya jae jab tak ki nazirin andhe na ho jaen ye koi munasib baat na hogi ki pesh kiya jae aisa aasmani khel us sayyare par jahan waqt hanuz naqis hai aur harkat ta-haal na-khalis ab hamein chalna chahiye!