main is chhote se kamre mein aazad bhi hun aur qaid bhi hun is kamre mein ek khidki hai jo chhat ke barabar unchi hai jab suraj dubne lagta hai kamre ki chhat se guzarta hai mutthi bhar kirnon ke zarre khidki se andar aate hain main is raste par chalti hun aur apne ghar ho aati hun mera bap abhi tak mere liye jab shahr se wapas aata hai chadar kanghi kajal chudi jaane kya kya le aata hai mere donon bhai ab bhi masjid mein padhne jate hain ahkaam-e-khudawandi sare padhte hain aur dohraate hain aapa mere hisse ki roti changir mein dhak kar rakhti hai aur subh sawere uth kar wo roti chidiyon ko deti hai man meri kuchh pagal si hai ya patthar chunti rahti hai ya dana chugti chidiyon se kuchh baaten karti rahti hai wo kahti hai jab ye chidiyan sab is ki baat samajh lengi chonchon mein patthar bhar lengi panjon mein sang samo lengi phir wo tufan aa jaega jis se har mimbar har munsif para-para ho jaega mera insaf karega wo jo sab ka hakim-e-ala hai sab jis ki nazar mein yaksan hain jo munsif izzat wala hai main man ko kaise samjhaun kya main koi khana-kaba hun