ai mere beto! main sochti hun ki qadmon se main apne tan ke hayat-agin lahu ke chashme baha rahi hun tumhaare sare nazar jismon nahif zehnon ki murdani ko mita rahi hun azal se apne zaif chehre ki aadi-tirchhi si jhurriyon ki lakir mein to udas aankhon malul palkon se tapke qatre mila rahi hun hasin khwabon ke budhe bargad ke zard patte bhi chun rahi hun wo khwab jin ke chamakte jugnu asir karne ko meri banhon ke sahilon par safed chehre siyah qalib ghanim utre hasin khwabon ke jugnuon ko asir kar ke khud apni maon ki sard aankhon ko zindagi di mere dafine mere khazine se apni kashti ki god bhar bhar ke le gae aur mere beton ke zehn-o-dil mein tafawuton aur adawaton ki karih faslon ke bij boe wo faslen jin ko aziz beton ne apne apne lahu se sincha ki jin ke sine ki pak mitti ko garm taza lahu se har dam ghaliz rakkha aur mere beto! main sochti hun isi tarah gar tafawuton aur adawaton ke ye bich bote rahe to ek din ye dekhna tum na tum rahoge na main rahungi faqat hamari katha rahegi!