tere gham mein kitna nazuk ho gaya hai dil ki ab is bhare bazar mein har sada ek ajnabi ehsas ka aaina hai aaj tere gham se farigh ho ke main bah raha hun lazzat-e-izhaar ke sailab mein ladkhadate rengte langdate hanste bolte lafz aur un ka dhuan khushbu chamak chal rahe hain mil ke be-ahang aawazon ke rang ajnabi honton ke lafz aarzuon ke ghubare hasraton ki titliyan chaar-su udti hain main khamosh hun guftugu ke daeron mein phail kar rang bharta ja raha hai un tamannaon ka khun jin ke lafzon ne zaban di sunne walon ka khayal un mein duba ja raha hai bolte lafzon ka sahar us ko apne dam mein lata hua phail kar aata hai mujh tak pech-o-kham khata hua aur main us ki kaifiyat ka ghaza apne chehre par lagae ek nai aawaz ke sae mein hun chahta hun band aankhon se main us sailab mein kud jaun aur nazzara karun apne kanon se dilon ke tarjuman alfaz ka surat goya se badh kar hai sukhan-andaz ka nuqrai aawaz mein lafzon ka nur apne hamrahi ke dil par naghma-bar jaise shabnam daman-e-gul par gire be-ikhtiyar is sada mein harf hain ya mom ke aansu hain jo shama ke pahlu mein girte ja rahe hain kya karun aankhen kholun aur us bachchi ki surat dekh lun us sada mein nakhwat-e-zar ka jalal jaise parbat se gire jharna koi sang-e-aswad ki chatanen todna dost ham-sin ham-sukhan jin ke sada saf se andaz mein koi mazi koi mustaqbil nahin haal ke lamhat rangin qahqahe phulon ke haar aur us aawaz mein zist ki mahrumiyan zanjir dar zanjir hain kholte lafzon ki bhap dil ke aaine ko dhundlati hai hath khud-bakhud badhta hai apni jeb ki jaanib magar ye gada bhi to nahin aur us aawaz mein hirs-o-hawas ka zahr hai lafz tiron ki tarah udte hue sina-e-ehsas mein paiwast hote hain magar dil se nafrat ke siwa koi sada uthti nahin aur ye aawaz meri dost-dar dil teri aawaz hai kitne naghme gunjte hain kitni raaton ka khumar kitne rangon ka talatum kitne phulon ki hansi sarsaraate reshmin malbus ke manind ye teri sada dhanpti hai garmi-e-aghosh se parwaz mein kho gai hain sari aawazen teri aawaz mein