hamari chahaton ki buz-dili thi warna kya hota agar ye shauq ke mazmun wafa ke ahd-name aur dilon ke marsiye ek dusre ke nam kar dete ziyaada se ziyaada chahaten bad-nam ho jatin hamari dosti ki dastanen aam ho jatin to kya hota ye hum jo zist ke har ishq mein sachchaiyan sochen ye hum jin ka asasa tishnagi,i tanhaiyan sochen ye tahriren hamari aarzu-mandi ki tahriren baham paiawastagi aur khwab paiwandagi ki tahriren firaq o wasl o mahrumi o khursandi ki tahriren hum in par munfail kyun hun ye tahriren agar ek dusre ke nam ho jaen to kya is se hamare fan ke rasiya sher ke maddah hum par tohmaten dharte hamari hamdami par tanz karte aur ye baaten aur ye afwahen kisi pili nigarish mein hamesha ke liye marqum hu jatin hamari hastiyan mazmum ho jatin nahin aisa na hota aur agar bil-farz hota bhi to phir hum kya subuk-saran-e-shahr-e-harf ki chaalon se darte hain sagan-e-kucha-e-shohrat ke ghaugha kale bazaron ke dallalon se darte hain hamare harf jazbon ki tarah sachche hain, pakiza hain, zinda hain bala se hum agar maslub ho jate ye sauda kya bura tha gar hamari qabr ke katbe tumhaare aur hamare nam se mansub ho jate!