ye pahli nazm un aankhon ki khatir hai ki jin mein chand taron si chamakti shah-rahon par hazaron an-kahe jazbe haya ki surkh hiddat se pighalte hain ki jin mein khwab raaton mein ufuq se ek shahzada mohabbat ki nai nazmen liye niche utarta hai ki jin mein ishq har ujli sahar ummid ki raushan zamin par khwahishon ke jism mein tajsim hota hai ki jin mein dastan-e-dil munaqqash atlasi auraq par aayat-e-rabbani ki surat mein bikharta hai ye pahli nazm un sanson ki khatir hai ki jin mein barahna barish utar kar regzaron ki tapish aalud rahon ko gul-e-gulzar karti hai ki jin mein hijr mausam ki tapish yaqut ke donon kinaron se kisi sayyal ki surat pahunchti hai ki jin ke sabz-zaron mein rupahle ishq ki pahli sunahri sham ki yaaden mahakti hain ki jin mein kapkapate wasl ki sargoshiyan silwat-zada yaadon ki shaklon mein utarti hain ye pahli nazm un khwabon ki khatir hai jo darja khamushi se hath ki resham lakiron mein panapte khwahishon ko dekh kar khush-rang khulti hain ki jin aankhon ki gahri jhil mein sufi mohabbat jaz ki maddham dhunon par raqs karti hain ki jis ke la-kharashida badan ke zard mail waraq par se hijr ke nuqte mita kar wasl likhna hai pighalte waqt ko jis chand daman mein libas-e-mushk odhe yak-digar ho kar thaharna hai ye pahli nazm un aankhon ki khatir hai ye pahli nazm un sanson ki khatir hai ye pahli nazm un khwabon ki khatir hai