kabhi jumud kabhi sirf intishaar sa hai jahan ko apni tabahi ka intizar sa hai manu ki machhli na kashti-e-nuh aur ye faza ki qatre qatre mein tufan be-qarar sa hai main kis ko apne gareban ka chaak dikhlaun ki aaj daman-e-yazdan bhi tar tar sa hai saja-sanwar ke jis ko hazar naz kiye usi pe khaliq-e-kaunain sharmsar sa hai tamam jism hai bedar fikr khwabida dimagh pichhle zamane ki yaadgar sa hai sab apne panw pe rakh rakh ke panw chalte hain khud apne dosh pe har aadmi sawar sa hai jise pukariye milta hai ek khandar se jawab jise bhi dekhiye mazi ka ishtihaar sa hai hui to kaise bayaban mein aa ke sham hui ki jo mazar yahan hai mera mazar sa hai koi to sud chukae koi to zimma le us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai