safed-poshi ki ot mein be-shumar aahen chhupi hui hain qarin-e-jaan hai wahi subuk-sar-e-zindagi ka khayal aur bas wo pur-sukun din wo jhilmilata jahan ki jis mein hum apne hisse ki zindagi kash walihana guzar pate ye chhoti chhoti si khwahishen thin kisi bade shahr ki kai manzila imarat se gir padin hain phir un ka malba samet kar hum bataur indhan najis mashinon mein jhok aae wo khwahishen ab dhuan dhuan hain dhuan jo dil se nikal raha hai dhuan jo dil mein utar raha hai jo roz-o-shab ka hisar ban kar aziyyaton ke muhib sae mein dhal raha hai magar ye sae zamane-bhar ki tamazaton ke muqable mein kisi bhi neamat se kam nahin hain lihaza un par bhi ab usul talab rasad ka nafaz hoga hisab-o-dftar ye mez kursi ke baad malum ho sakega ki apni gum-gashta hasraton ke sahab mein se hamare hisse mein kya bacha hai hamari qismat mein likha hai bisat-e-nau ke hamin khiladi hami khilaune hamein tamasha lagane wale hamein fasana banane wale magar hamara na tazkira hai kahaniyon mein kisi tamashe mein koi kirdar tak nahin hai fana ke naghme rijaiyat ke suron mein gana hamein sikhaya hai zindagi ne yahi bataya hai zindagi ne hamare gham ka nisab tai hai hamari manzil bhi tai-shuda hai ki us se aage guzar hamara agar hua bhi to wajibi sa wo khwab sare jo hum ne dekhe sarab nikle azab nikle ye zindagi bhi ajib shai hai ki us ko pane mein kho diya hai usi ko hum ne