kanpti hain honton par kitni an-kahi baaten gunjte hain kanon mein kitne an-sune naghme jhankte hain palkon se ungliyon ke poron tak khwab kitne an-dekhe lams an-chhue kitne nam hai talab jis ka mustaqil hararat hai hasrat-o-tamanna ke aansuon se nam lekin an-bujhe shararon ki daimi masafat hai be-bas aarzuon se dard ki rasai tak qaid se rihai tak dhadkanon ki sarhad ke us taraf bhi imkan hai jaan-o-tan se bahar bhi zindagi farozan hai aankh jam bhi jae to sans tham bhi jae to dil ke tah-nashin jazbe ruh mein panapte hain umr sirf mohlat hai ishq lamha-e-daem e'tibar baqi hai mera gham salamat hai tera husn hai qaem intizar baqi hai