dhire dhire bahne wali ek saloni sham ajab thi uljhi suljhi khamoshi ki narm tahon mein silwat silwat bhed chhupa tha sardili makhmur hawa mein mitha mitha lams ghula tha dhire dhire khwab ki gili rit pe utre dard ke manzar pighal rahe the khwahish ke gumnam jazire sahil par phaili khushbu ke margholon ko nigal rahe the dhire dhire jaane kaun se mausam ke do phul khile the shahad bhari sargoshi sun kar jhuke jhuke se hont hanse the badhne laga tha ek anokha san san karta be-kal naghma yaad nahin hai kahan gire the meri baali us ka chashma