bazm-e-khamosh mein chhidne ko hai phir saz-e-hayat muntazir baithe hain sab gosh-bar-awaz-e-hayat qabil-e-did hai tufan se pahle ka sukun josh-o-hangama-o-haijaan se pahle ka sukun yas-o-ummid mein tafriq hai mushkil is dam hama-tan sakit-o-mabhut hai mahfil is dam tiktiki bandhe ba-yak-taur hazaron aankhen ek kaf-e-pir-e-mughan aur hazaron aankhen koi aagah nahin daur kidhar aaega kis ke hathon mein khat-e-jam nazar aaega har ghadi sinon mein hai kashmakash-e-shakk-o-yaqin majlis-e-aish mein bhi surat-e-aram nahin kis ne aaghaz kiya zamzama-e-bazm-e-tarab lab-e-jaan-bakhsh ki thodi si bhi jumbish hai ghazab muzhda-e-amn-o-aman sulh ka paigham hai kya jang-e-azadi-e-insan ka sar-anjam hai kya saz-e-ulfat ki nawa soz-e-mohabbat to nahin naghma-e-adl-o-musawat-o-ukhuwwat to nahin matlab-e-zist ki tafhim mein kya der hai ab neamat-e-am ki taqsim mein kya der hai ab talib-e-saghar-e-nau bazm-e-kuhan hai saqi intizar aakhir-e-shab sabr-shikan hai saqi