zarra-e-tarik mehr-e-zau-fishan hone ko hai qatra-e-nachiz bahr-e-bekaran hone ko hai juzw kul karte hain apni quwwaten nazr-e-bashar banda-e-majbur mukhtar-e-jahan hone ko hai ye zamin thin zillat-e-afaq jis ki pastiyan rifaton mein ru-kash-e-haft-asman hone ko hai nuskha-e-ijad-e-alam pa na le insan kahin aashkara fitrat-e-kaun-o-makan hone ko hai barq-o-atish se hua barbaad jis ka khanuman ab wo aagah-e-nawed-e-bazm-e-jaan hone ko hai maut ke saman ki paiham justuju jis ko rahi raaz-e-hasti us ki mahfil mein ayan hone ko hai ibn-e-adam yani ye parwarda-e-jaur-e-falak shayad ab is par mashiyyat mehrban hone ko hai bebas aur bechaara tha gahwara-e-taqdir mein lekin ab ye kaudak-e-nadan jawan hone ko hai zarra-e-tarik mehr-e-zau-fishan hone ko hai qatra-e-nachiz bahr-e-be-karan hone ko hai