diwar se latkae afsurda khada hai eucalyptus ka darakht soch mein gum ab tak wo sunahre baal wali shokh kiran aai nahin aate hi lipat jaegi mere jism se belon ki tarah raat pighalti rahi hai bund bund dam todti hain aakhiri saaten ai dil-e-nadan dil-e-be-tab thahar bas kuchh hi pal aur sabr kar ujala hone bhar