kase hue ektare par hain gende ke do phul mehndi lage hathon par hire moti jade do naqsh bansuri ke honton se nikle aathwin sur ka git sham amaltason ki sunae taza taza nazm aaine mein gori ke umrao-jaan sa rup aankhon mein be-tab tamanna dhadkan hai be-rabt dur samay ke par se aane wala hai shahzada gard udati rath se utra aakhir ek jawan achkan par hai saja hua surkhab ka nila par pan supari chuna kattha resham resham jism dhol ki thap pe raqsan ghungru aur gori ka dil mahal-sara ki diwaron par hai pyas ka mitha rang jism se nikla nikla jae gori ka har ang shahzade ki sanson mein sandal ke araq ki bas rath-banon ki ragon mein an jaane lamhon ka kaif jism aur jam ki ranai mein haar ka dard-e-fana shahzade ke sine par hain raqqasa ke ashk irani qalin par raqsan raqqasa ka khun darwaze ke bahar latka jang mein haar ka dagh shahzade ke honton par hai fateh ki muskan