qabil-e-did hai mashshatgi-e-fasl-e-bahaar zulf-e-sumbul mein naya husn nazar aata hai surkhi-e-chehra-e-gul se hai shafaq-zar chaman rang shabnam ka bhi kuchh surkh hua jata hai dekh kar surkhi-e-rukhsar-e-gulistan gulchin apne dastur mein tarmim kiye jata hai mutanabbe bhi kiye jata hai har patte ko nam bhi fasl-e-bahaaran ka liye jata hai zer-e-tartib hai aain-e-chaman-arai ye haqiqat hai ki takmil abhi baqi hai patte patte pe abhi sabt nahin naqsh-e-bahaar yani ijmal ki tafsil abhi baqi hai baghbani abhi lazzat-kash-e-gul-chini hai dekh kar dast-e-hawas phul laraz jate hain itne sayyaad hain saf basta ki murghan-e-chaman aashiyanon se nikalte hue ghabraate hain gul-faroshi hai abhi fasl-e-bahaaran ki mushir lala-o-gul ka tabassum hai hirasan ab tak ladkhadati hui chalti hai gulistan mein nasim phul khilte hain to hote hain pasheman ab tak yahi tarikh-e-chaman hai yahi tarikh-e-bahaar pahle do chaar hi phulon pe nikhaar aata hai aankhen malta hua phir nind se uthta hai shabab patte patte mein nazar ru-e-nigar aata hai le ke phir god mein ghunchon ko ye kahti hai saba main tumhaari hun ki gulchin ki tumhin ghaur karo daur-e-takmil-e-bahaar aaega aaega zarur intizar aur karo aur karo aur karo