wo tirgi bhi ajib thi chandni ki thandi gudaz chadar se sara jangal lipat raha tha gulon ke sad-rang dhundle dhundle se jaise ek sim-tan ke chehre ke shokh ghaze pe aansuon ka ghubar ho ped, muntazir apni narm shakhon ke hath phailae aur kabhi koi shakh chatki to sae nikle muluk phulon ko chum kar chandni ki chadar pe nachte the kahan se aai wo ek kiran jis ne phailti tirgi ki gambhirta ko chira to mere bhitar mein ek kirnon ka silsila yun utar raha tha ki koh-e-atish-fashan se lawa nasheb ko bah raha ho mere lahu se soj ubal pade jin ki tez hiddat se tirgi ke muhib yakh-basta sang pighle to nur ke raston ka ek jal khul gaya magar abhi to muhib kale pahad kuchh aur bhi nazar aa rahe hain aur main safar ki hiddat se jal raha hun zara main ab chandni ki thandi gudaz-chadar mein dam to le lun kahin ubalti hui ye aatish mujhe jala kar bhasm na kar de