chalo hum man lete hain hamare darmiyan tahzib thi ek zakhm-e-khwahish ki bandhe the jis se hum donon bahut mazbut bandhan mein chalo hum man lete hain hamare khwab uljhaw ke phailaw pe mabni the jude the jis se hum donon musalsal ek uljhan mein chalo hum man lete hain ki zakhm-e-khwahish-o-khwab-e-mohabbat raigani thi magar sab kuchh agar hum man bhi jaen to phir kya hai kabhi kya zakhm bharte hain kabhi kya khwab marte hain chalo hum man lete hain ki hum se kuchh purani soch ke hamil nai khwahish se darte hain