teri peshani-e-rangin mein jhalakti hai jo aag tere rukhsar ke phulon mein damakti hai jo aag tere sine mein jawani ki dahakti hai jo aag zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de teri aankhon mein farozan hain jawani ke sharar lab-e-gul-rang pe raqsan hain jawani ke sharar teri har sans mein ghaltan hain jawani ke sharar zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de har ada mein hai jawan aatish-e-jazbaat ki rau ye machalte hue shoale ye tadapti hui lau aa meri ruh pe bhi dal de apna partaw zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de kitni mahrum nigahen hain tujhe kya malum kitni tarsi hui bahen hain tujhe kya malum kaisi dhundli meri rahen hain tujhe kya malum zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de aa ki zulmat mein koi nur ka saman kar lun apne tarik shabistan ko shabistan kar lun is andhere mein koi shama farozan kar lun zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de bar-e-zulmat se sine ki faza hai bojhal na koi saz-e-tamanna na koi soz-e-amal aa ki mashal se teri main bhi jala lun mashal zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de