ye kaun sakhi hain jin ke lahu ki ashrafiyan chhan-chhan, chhan-chhan, dharti ke paiham pyase kashkol mein dhalti jati hain kashkol ko bharti hain ye kaun jawan hain arz-e-ajam ye lakh-lut jin ke jismon ki bharpur jawani ka kundan yun khak mein reza reza hai yun kucha kucha bikhra hai ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam! kyun noch ke hans hans phenk diye un aankhon ne apne nilam un honton ne apne marjaan un hathon ki be-kal chandi kis kaam aai kis hath lagi ai puchhne wale pardesi ye tifl o jawan us nur ke nau-ras moti hain us aag ki kachchi kaliyan hain jis mithe nur aur kadwi aag se zulm ki andhi raat mein phuta subh-e-baghawat ka gulshan aur subh hui man-man, tan-tan, un jismon ka chandi sona un chehron ke nilam, marjaan, jag-mag jag-mag rukhshan rukhshan jo dekhna chahe pardesi pas aae dekhe ji bhar kar ye zist ki rani ka jhumar ye amn ki dewi ka kangan!