qadam qadam par janaze rakkhe hue hain in ko uthao jao ye dekhte kya ho kaam mera nahin tumhaara ye kaam hai aaj aur kal ka tum aaj mein mahw ho ke shayad ye sochte ho na bita kal aur na aane wala tumhaara kal hai magar yunhi soch mein jo dube to kuchh na hoga janaze rakkhe hue hain in ko uthao jao chalo janazon ko ab uthao ye bahte aansu bahenge kab tak utho aur ab in ko ponchh dalo ye rasta kab hai ek lahad hai lahad ke andar to ek janaza hi bar paega ye bhi socho to kya mashiyyat ke faisle se hate hate rengte rahoge janaze rakkhe hue hain in ko uthao jao lahad khuli hai lahad hai aise ki jaise bhuke ka lalchi ka munh khula hua ho magar koi taza aur taza na ho mayassar to basi luqma bhi us ke andar na jaane pae khula dahan yun khula rahe jaise ek khala ho uthao jaldi uthao aankhon ke samne kuchh janaze rakkhe hue hain in ko uthao jao lahad mein in ko abad ki ek gahri nind mein gharq kar ke aao agar ye murde lahad ke andar gae to shayad tumhaari murda hayat bhi aaj jag utthe