jag ai narm-nigahi ke pur-asrar sukut aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai jo khud apne hi salasil mein giraftar rahe un khudaon se mere gham ki dawa kya hogi sochte sochte thak jaenge nile sagar jagte jagte so jaega maddham aakash is chhalakti hui shabnam ka zara sa qatra kisi masum se rukhsar pe jam jaega ek tara nazar aaega kisi chilman mein ek aansu kisi bistar pe bikhar jaega han magar tera ye bimar kidhar jaega main ne ek nazm mein likkha tha ki ai ruh-e-wafa chaarasazi tere nakhun ki rahin-e-minnat gham-gusari teri palkon ki riwayat mein hai ek chhoti hi si ummid-e-tarab-zar sahi ek jugnu ka ujala meri barsat mein hai lazzat-e-ariz-o-lab saat-e-takmil-e-visal meri taqdir mein hai aur teri baat mein hai dair se, kabe se, idrak se bhi ukta kar aaj tak dil ko ujale ki talab hoti hai ek din aaega jab aur bhi uryan ho kar aadmi jine ko thodi si ziya mangega git ke, phul ke, ashaar ke, afsanon ke aaj tak hum ne banae hain khilaune kitne ye khilaune bhi na hote to hamara bachpan sochta hun ki guzarta to guzarta kaise aadmi zist ke sailab se ladte ladte bich manjdhaar mein aata to ubharta kaise der se ruh pe ek khwab-e-giran tari hai aaj bimar pe ye raat bahut bhaari hai aaj phir dosh-e-tamanna pe hai dil ka tabut jag ai narm-nigahi ke masihana sukut warna insan ki fitrat ka talawwun mat puchh is sin-o-sal ka maghrur ladakpan mat puchh aadmi teri is uftad se bad-dil ho kar aur do-chaar khudaon ke alam pujega aur ek roz is andaz se bhi ukta kar apne be-nam khayalon ke sanam pujega