is gali ke mod par ek aziz dost ne mere ashk ponchh kar aaj mujh se ye kaha yun na dil jalao tum lut mar ka hai raj jal raha hai kul samaj ye fuzul ragni mujh ko mat sunao tum burzhwa samaj hai lut mar choriyan is ka wasf-e-khas hai is ko mat bhulao tum inqalab aaega us se lau lagao tum ho sake to aaj kal mal kuchh banao tum khai se nikalne ki aarzu se pesh-tar dekh lo zara jo hai dusri taraf hai gadha hai aaj hain jo hukmaran un se badh ke khaufnak un ke sab raqib hain dandana rahe hain jo le ke hath mein chhura shukr ka maqam hai meri maskh lash aap ko kahin mili nahin ek gali ke mod par main ne puchha waqai sun ke muskura diya kitni der ho gai lijiye main ab chala us ke baad ab kya hua khadkhadain haddiyan us gali ke mod se wo kahin chala gaya