ishq aawara-mizaj wo musafir to gaya na koi us ki mahak hai ki jo de us ka pata na koi naqsh-e-kaf-e-pa na koi us ka nishan koi talkhi bhi tah-e-jam na chhodi us ne zindagi baqi hai ek sanjida hansi soch si dil mein basi tez aai hui sans zehn mein thode se waqfe se khatakti hui phans aur dukhta hua dil chot thi jis pe lagi chot waisi to nahin dard baqi to nahin lakh mane na magar kuchh pasheman sa dil yun badal jaane par aap hairan sa dil us ko kya apna pata ye hai insan ka dil koi patthar to nahin jis pe mitti nahin pad jae jo ek bar lakir