is se pahle jitni iden guzri hain har id se pahle mere bachche apni narm rupahli banhen meri gardan mein jab dal ke kahte the hum eidi lene aae hain wo khushiyon se labrez munawwar ghadiyan kitni achchhi lagti thin jab badi badi raqmon ko wo thukraate the aur bade bade tohfon par bhi wo apne munh latkate the wo mujh se ruth ke apni ammi ke pahlu mein jate the wo un ki chamkili chahat wo un ke ruth ke jaane ki be-dard si hasrat jab bhi karwat leti hai dil khun ke aansu rota hai aur ab ke hisar zindan mein yun id hamari guzri hai wo jhagda karne wale ruth ke jaane wale bachche mujh ko jail mein eidi dene aae hain