ras-bhare hont phul se halke jaise billor ki surahi mein baada-e-atishin-nafs chhalke jaise nargis ki gol aankhon se ek shabnam ka arghawan qatra shafaq-e-subh se darakhshanda dhire dhire sambhal sambhal dhalke ras-bhare hont yun larazte hain! yun larazte hain jis tarah koi raat din ka thaka hua rahi panw chhalni nigah mutazalzal waqt sahra-e-be-karan ki jahan sang-e-manzil-numa na aaj na kal dafatan dur! dur aankh se dur shafaq-e-sham ki siyahi mein qalb ki aarzu-nigahi mein farsh se arsh tak jhalak utthe ek dhoka sarab manb-e-nur! ras-bhare hont dekh kar 'tasir' raat din ke thake hue rahi yun taraste hain, yun larazte hain!