is shahr mein ab aaina-samani karo ho

is shahr mein ab aaina-samani karo ho
tum jis pe azal se hi hukmrani karo ho

ek arsa hua kucha-e-jaanan hua viran
phir bhi tum isi shahr ki nigarani karo ho

phul ugte the jis ja wahin ug aaen hain kante
kya aise gulistan ki nigahbani karo ho

har baat sar-e-bazm bhala karta hai koi
kyun apne hi jazbaat ki uryani karo ho

pad jaen hain afkar mein shubhat ki girhen
jab baat bhi tum surat-e-yazdani karo ho

dikhlao ho ummid ko mauhum si ek lau
soe hue jazbaat mein tughyani karo ho

dushman pe bhi tum chashm-e-karam rakkho ho apni
kis shan se tum us ki bhi mehmani karo ho

kya baat hai kyun badle hue rakkho ho tewar
kyun mere har ek lafz ko isyani karo ho

uth jaen jo is dar se batao to kahan jaen
kya faisla haq mein mere irfani karo ho

hasti gham-e-dauran mein mita do ho tum apni
phir dil ko faqat nazr-e-pashemani karo ho

hairan hai ulfat ki is uslub pe 'asra'
kya roko ho kahe ki farawani karo ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close