intiha mohabbat ki dekhna jo chaho to

mauj lete sahil par
ya kisi virane mein

sham ke dhundalke mein
tez chadhti sanson mein

intiha mohabbat ki dekhna jo chaho to
din nikalte lamhon mein

nange pair chalte tum
aao aise sahra mein

jis mein mukhtalif rangon
mukhtalif qabilon ke dher sare panchhi hon

un ki boliyon par phir ghaur se tawajjoh do
ye chahakte panchhi sab

apni apni boli mein
baat-chit karte hain

apne dukh sabhi mil ke
kaise bant lete hain

us se zyaada aur kuchh tum
dekhna jo chaho to

intiha mohabbat ki dekhna jo chaho to
sahil-e-samundar par

zard ret ke andar
panpe wo sabhi paude

kis tarah ye palte hain
kis tarah ubharte hain

kaise ret ke niche
pani un ko milta hai

intiha mohabbat ki us jagah pe milti hai
hum azim logon mein falsafa mohabbat ka

sirf socha jata hai sirf likkha jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close