mujhe us generator ki talash hai jo sayyaron ko bijli supply karta hai aur jis ke current se mere cell raushan hote hain main ne ek aadmi ke mathe par ghurur-e-sajadgi ke gulab dekhe wahan chhoti inton ki diwar par ism-e-siyaadat chamakta hai phir hawa ne tin ki chadaren gardanon par phenkin maen nind se ladne lagin bap aangan ko parwaz se rokte rahe aur zamin ke niche maya ki degen sarakti rahin bakriyon ne shor kiya pahlauti wala do pahlauti wala do wo dekho isfanj ki andhi sidhiyon par nakhun ke baad nakhun safar safar safar ghumte hue pahiye tutte hue break ek inch mein hazar inch ghubar aur school uniform hum gear badalne se pahle hi danger zone mein kyun dakhil ho jate hain budha driwer sochta hai ranon ke cross par chehre ki haddi kis khatre ka nishan hai