mujh se achchha nahin kuchh bura bhi nahin thik mujh sa bhi shayad nahin mujh ko mahsus hota hai kuchh mukhtalif bhi nahin wo jo ek ajnabi aaj aaya hai is shahr mein ain-mumkin hai paida yahin wo hua ho jawan ho gaya to kisi dusre des mein ja basa na-rawa mausamon ke thapedon ki yalghaar mein kuchh fasurda o maghmum bikhra hua laut aaya ho ek roz apne purane isi shahr mein ye bhi mumkin hai wo ek dushman qabile ka koi safir-e-adawat ya dahshat ho ya phir koi hijraton ke tasalsul ka wamanda rah-rau ghadi do ghadi ke liye mere is shahr mein ruk gaya ho wo ek be-ghari se kisi dusri be-ghari mein yahan aa gaya ho wo mafrur qatil ho mumkin hai is shahr ko kunj-e-mahfuz shayad samajhta ho ye sochta ho guzar jaenge aafiyat se shab o roz baqi ke us ke yahan main to sar-sabz-o-shadab barson jiya lahlahaya isi khak par jism apna tha main zehn apna tha main khud se maqdur ke daere mein shanasa bhi tha hadsa mujh pe guzra ajab ye ki main aaj apni hi pahchan ke kaise aazar mein ghir gaya ab yahan kaun hun nam mera hai kya kis ka ham-dam hun main kis ka ham-zad hun kaun mera hai ham-zad chaaron taraf se umadti hui bhid mein baad-e-masmum mein jism o jaan ko jhulasti hui reg-e-paikar mein ghar gaya main mukafat ke sail-e-asrar main ghar gaya